Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sistani Sahab 
Question Assalam-o-Alaekum! mera sawal ye hy k hum jo paisa bank mai deposit krwate hain or us pe jo interest lgta hy wo jaiz hy ya ni agar hum us mai se Imam Ka Haq nikal den tau kya interest ka baqi bacha hua paisa jaiz hojata hy or Imam Ka Haq kitna nikala jata hy? 
Answer 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.