Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name talak 
Question asalam walekum sir. Mai or mere shor is waqt bahut taklif me bet hai kal rat hum dono me ladai hui aur vo ladai gusse me tabdil hui hum dono aag babhula ho gaye aur dekhte hi dekhte mere shor k mu se 3 bar talak nikal gaya jab uno ne muje talak bola mere pero tale zamin hut gayi aur mere shor ne gusse talak bol tho diya lekin fhoran unko hos aya aur vo bole k yhe maine kya kiya mai tumko talak nai dena chata hu mai tumare begar mar jaunga mai tumko talak nai diya mere mu se kaise nikal gaya mai  
Answer Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.