Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name newly converted muslim  
Question Assalamwallaykum. Mera sawal yeh he ke me ek gay hun..meri awaz ladki jaisee he meri chhati bhi ladki jaisee he mene koi hormones ke injection nahi liye he mujhe mard pasand he aurato me thodi bhi dilchaspi nahi he .. me aurato se nikah nahi kar sakta... meri sakal bilkul ladki jaisee he dhadhi muchhe rakhne ke baad bhi sakal meri aurato jaisee he.... meri chal bhi ladkiyo ki tarah he... me mardo ke sath jinnah karti hun aur isse nazat pana chahtihun isliye kya me sex change karva sakti hun sex change karne ke bad me mard se nikah karke ke saleha zindagi bitana chahtihun ..mujhe pata he sex change karne ki ijjjajat shariyat nahi deta he lekin me kya karu apni puree zindagee kaise nikalu??? mera ghar se bahar nikalna haram ho gaya he kyonki me aurat jaisee hun....log mujh par haste he...plz meri madad kijiye....mujhe gunaho se bachahiye....aur ek achchee zindagi kis tarah se jee saku uske bare me mujhe mashwara dijiye 
Answer Is farz per k jins ki tabdeel ho jaay to sare ahkaam nae(new) jins ki bina per jaari hoon ge nah k porani jins k mutabiq (maslan agar aurat ban jaay to perda karna parhega) laikin sirf zahiri tour per tabdeeli k aa jane ka matlab ye nahi hota hai k jins tabdeel ho gae hay. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, Mafhoom e sawaal # 164). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.