Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aqa-e-sistani 
Question salam...my question is that..........kay table chair per namaz perhne k kiya sharaiyet hai...........?? 
Answer 1)Jab tak insan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hai k wo beth kar namaz na parhay maslan khara honay ki halat mai kisi ka badn harkat karta ho yaw o kisi cheez par taik laganay par ya badan ko thora sa terha karnay par majboor ho to zaroori hai k jaisay bhi ho sakay khara ho kar namaz parhay laikin agar wo kisi terah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hai k seedha beth jae aur beth kar namaz parhay. 2)Jo shakhs beth kar namaz parh raha ho agar wo alhamd aur surah parhnay k baad khara ho sakay aur ruku khara ho kar kar sakay to zaroori hai k khara ho jae aur qayam ki halat mai ruku mai jae aur agar aisa na kar sakay to zaroori hai k ruku bhu beth kar anjam dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 957-59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.