Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name rizq e halal 
Question Namaz e shab se kiya muraad he? or Kitni rakat parhni chaiye? 
Answer 1)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 2)Namaz e tahajjud 11 rak’aat hay.8 rak’aat naaflah e shab ki niyat say 2, 2 rakat ker k perhi jay. 2 rakat namaz e shafa ki niyat say or 1 rak’at namaz e witr ki niyat say perhni chahiay. Namaz e tahajjud ka waqt awwal e shab say subah ki azaan tak baaqi rehta hay or behtar ye hay k subah ki azaan k qareeb perhi jaay.namaz e shafa main zarori hay k agar qunoot perha jaay tu rija e matlobiyat(hope of acceptance) ki niyat say perha jaay.or namaz witr main bhi bawajood is k keh aik rak’at ki hoti hay,ruku say pehlay qunoot perhna mustahab hay.namaz e shab ka mukammal tariqah dua ki books main maujood hay (Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 753, 761,1104). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.