Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question agar kisi mard ki bv us ki baat na manti ho yani agar husband kisi baat se manna krey k falan kaam ya baat nahin krna aur bv jan bhhoj kr vo kam krey. phir agr husband majboor ho kr bv se ye kahey k agr tm ne falan kam kiya to tm mj pr talaq ho ya hamara nikah haram hey, phr us k bad bv jan bhooj kr vo kaam krey to ye kis ki ghalti ho gi, bv ki ya husband ki, aur us ka shari faisla kia ho ga.... 
Answer Is terah talaq nahi hoti hai talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) 2)Biwi ko sohar ki baat 2 maqamaat par manna wajib hai 1.jinsi lazzat k silsilay mai 2. Pouchay bagair os k ghar sai bahir janay mai. Is k alawa biwi ka akhlaqi farz hai k osay iziyat na pouchae. Aur shariat ki hudood mai rehtay huay shohar ki baatoo ko manay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.