Answer |
1)Zarori hai k khums 2 hison main taqseem kia jay. Us ka 1 hissa sadaat ka huq hai or zarori hai k Kisi faqeer sayed ya yateem sayed ya ayse sayed ko diya jay jo safar main na-chaar ho gaya ho or dosra hissa Imam (a.s) ka hai jo zarori hai k maujoda zamaney main jaamiol shara,it mujtahid ko diya jaay ya aise kamon par jis ki wo mujtahid ijazat dey kharch kia jay. Yani agar aap k pas 10000 rupees hai to 5000 rupees sehm e imam a.s. k aur 5000 shem e sadaat k hon gai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1804 ).
2)Sahm e imam ko mujtahid ki ijazat se masjid aur imambargah ki tameer per kharch kia ja sakhta he laikin sehm e sadaat ko kisi syed ko hi dena ho ga.(ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 131, pg # 59)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|