Answer |
Jima karna kuch ayyam mai makrooh hai jin mai sai chand ye hain. 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) Is k alawa chand ayyam mai jima krna haram hai os mai sai aik ye hai k jab aurat haiz ki halat mai ho to os sai jima krna haram hai aur is k alawa bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hai os mai jima krna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448,504). Update on dated 14-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |