Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sunni 
Question Sir meri age 16 year he aur me tab se hand practice kar raha hun jb meri mani b ni nikalti thi mene ise chorne ki boht koshish ki magar ni chor saka mene 2 larkion se zina b kia he jis per me boht sharminda hun aur hand practise ki waja se me boht kamzor b ho gaya hun mjhe sehatmand hone k ley koi tareeqa bataye aur zina se toba ka b koi tareeqa bataye mene apne dimag ko dusre kamon me lagane ki boht koshish ki lekin hand practise ni chor saka mjhe hand practice chorne aur is se toba karne ka b tareeqa bataen me namaz b ni parhta aur mjhe choti choti baton pe boht gussa aajata he mjhe is se nijat ka b koi tareeqa bataen. Me ap k jawab ka muntazir rahun ga. 
Answer 1)Sab sai pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khuda se ehad or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). 2)Namaz ki pabandi karain q k hamara dunya mai aanay ka maqsad faqat aur faqat Allah ki ibadat hai to agar ham apnay dunya mai aanay k maqsad ko bula dain to hamara dunya mai rehnay ka koi faida hi nahi rahay ga. 3)Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.