Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name plz asnwer 
Question Theek wazu na aata hoo aur baad mein insaan seekh le tu kya pichali namaze ho jaye gee 
Answer 1)Agar namaz guzar jahil e qasir ho or doraan e wuzu aisa khalal perh jay jis jahil e qasir ka wuzu batil nahi hota . misaal k taur per wuzu main (wuzu k paani k alawa) nay paani se masah ker lay tu aisay namaz guzaar ka wuzu durust samjha jay ga or os ki namaz sahi qaraar paae gi. 2) or agar wo shaks ehkaam ko seekhnay main jahil e muqassir raha ho 3)ya os k wuzu or main aisa khalal perh jaay jis se har halat main (chahay jahil e qasir ho ya muqassir)wuzu mutaassir ho sakta hay. misaal k taur per wuzu k doran jin aaza ko dhona wajib tha, onhain nah dhoay tu aisay shaks namaz guzaar ka wuzu durust nahi samjha jay ga or os ki namaz bhi batil qaraar paae gi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 74) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.