Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question my husband said tallaq 3 times .he didnot say i m giving u talaq just say the word 3 times am i divorced 
Answer 1) Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 2) agar aik talaq k baad iddat(3 haiz) k doran ruju nah kia jaay tu nikah ker k os ko biwi banaya jasakta hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).(agar in sharait k mutabiq talaq di gai ho to talaq sahih hogi magar yeh bhi ek talaq shumar hogi, ek sath tin talaqe nahin ho sakati). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.