Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah sistani 
Question Salam molana sahab main apni shaadi ke hawale se buhat pareshan hun main aik larke ko pasand krti hun aur hum dono nikah ki khuwahish rakhte hain main ne apne ghar main baat ki hai ghar walon ko etraaz is baat ka hai k us ko settle hone main abhi 5 se 6 saal hain aur tab tak mere ghar wale mujhe nahi ghar bitha sakte meri age 16 hai aur larke ki age 18 hai.. please koi aisa wazeefa batain jis se tamaam mushkilat ka hal nikal jaye mujhe intezar karne mn masala nahi h ..  
Answer 1)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) 2)Jo shaks surae taha surah#20 ko likh kr green reshmi kapray mai lapait kr rakhay aur shadi k iraday sy kisi k paas jaey tu usay na kaam nahi lotna parayga.(ref:dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal,pg#18). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.