Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Agha Siastani 
Question Assalam oAlaikum, 1=namaz e qasr kaha se shuru hoti hy yani muqami she+hr se kitney fasley se? 2=aik fard Sharjah mey rehta ho Aur kam k liey roz dubai jata ho ya ajman to uski namaz ka kya hukum hey? 3=aik fard dubai mey kam krta hey aur kuch arsey k liey arzi tor pr sharjah mey rat basar kr raha hy to uski namaz ka kya hukum hey? wsalam  
Answer 1-Insaan ki namaz qasr us waqt hoti jb uska anay aur janay ka total safar 8 shrait farsakh ho(yani taqreeban 44 km) ho. Safar ka hisab us jaga say kerna zarori hai jahan say guzar janay k baad admi musafir shumaar hota hai aur omoman wo jagah shehr ka aakhri hissa yani ending hoti hai laikin baaz barhay cities mai mumkin hai k wo city ka akhri muhalla ho jo ending shumaar hota ho. 2-3-Musafir kisi jaga agr 10 din ya os say ziada rehnay ka irada rakhta ho tu namaz puri parhay or agar 10 din se kam rehna ho tu namaz qasr perhni wajib hogi. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1267,1279) .  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.