Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Asalamualakum. janab ajj sy 3sal pahley mary waldin ka choty sy jaggry mai mari maa ny bap sy kha k [day mujy talak 3bar r mary bap ny kha han data hun agr tum gar sy jati ho tu) janab wo gar k upper waly portion mai rahny lagi mari 2 bahno ko lay kr r hum ny is mamly ko zyada tul ni dya phair 7 mahny bad mari maa ny kha k mai ny pta kraya hy hamari talak ho gi hy r hum 5 bahn bi hairan ho gy k ye kya ho gya hy abb humy yad b ni tha k hamary abu ny kitni bar kaha tha k (han mai ny di)janb is bary mai rahnumi farmi sukriya. 
Answer Is terah talaq nahi hoti hai Talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.