Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sunni 
Question Sir main yeh janna chahti hon k nikkah k bad husband and wife kitni dair tak alag reh sakte hain.i mean agar nikah hua ho aur us k bad husband apni wife se koi contact na kre aur koi relation na banaye to kitni dair tak yeh nikah reh sakta hy? 
Answer Agar Riwaj yahi ho k jab tak rukhsati nahe hoti is waqt tak larki apnay aap ko apnay sohar k lie paish nahi karti, is tarah sai k ise aik zimne shart samja jata ho to phir aurat k lie nikah k bad rukhsati se phelay sohar k lie apne aap ko paish karna wajib nahi hai. aur nikah k baad Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi karsakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota). (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72). Update on dated 14-12-2015. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2382). Update on dated 14-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.