Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Salamoalaikum if kissi lady ka husband kehe apne past k bare mein Such batao kitne mardon se tumhara tahaluq raha aur ilzamat b ligay Teen talaq daal kar Ke agar tum ne kuch b jhot bola to talaq ho jay gi Quran pe b bohat time hath rakhwa k poch chuka ho Kya es tarha talaq ho jay gi ??  
Answer 1)Is terah talaq nahi hoti hai q k talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai talaq deta hai na k aurat, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) 2)Is k alawa jhoot bolna ghunah e kabira mai shumar kia gya hai albetta aap is maqam par tawriah karna mumkin ho to karain yani alfaaz k zaheri mafhoom ko choor ker dosray mutlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi ko aziat dena chaea aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia tum ne fullan shakhs ko dekha he? Aur is ne us shakhs ko aik minute qalal dekha ho to wo kahay ke mein ne use nahei dekha aur qasad (irada) ye karay ke us waqt se 5 minute pehlay me ne use nahei dekha. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2638).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.