Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ??? 
Question Mera sawal yah hai k maa baap k marne k bad uski jaidad ki taqseem kese ho gi ??? ager maa baap dono ka intqal ho gia hai aur unki sirf 1 beti hai to kya jaidad beti ko milly gi ??? Aur baap jis ka intqal ho gia hai uska bhai b majood hai?? Yani beti uska taya ??? Ab ap muje yah btaye k jaidad me beti ka kya hissa ho ga unki jaidad beti ko milly gi ya taya ko sab tafseel se bata de shukriyaa... 
Answer Agar marhoom k waaldain zinda nah hoon or bivi bhi nah ho tu aulad mojood hone ki surat men uski tamaam meeras uski aulad ko mile gi, marhoom k bhai ka koe hissa nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.