Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Aoa Mera swal ye hy k 3 months pehly shadi hoe meri..aek din mery husband ny mjy mara jis se meri bone fracture hogai..mery ghr walon ny ghusay main usay jail bhejwaya..n bad main hm ny zmanat py reha krwa k usy bola k divorce do wrna zmanat kharij kra dain gy n again jail jao gy..wo divorce dyna nhe chahta tha usny sulah ki boht koshish ki mgr hm nhe maany..akhir jail se bchny k liye usny divorce paper sign krdiye..lekin words nhe boly talaq k..ab wo kehta hy zbardasti talaq li hy meri mrzi shamil na thi..mjhe pochna ye hy k kya talaq hogai ya nhe??or agr nhe hoe to kya ab rajoo kiya ja skta hy?? Plz answer according to shriat..thanks 
Answer Ye talaq sahi nahi hai q k Talaq ki shriat hain k talaq mard apnay ikhtiar sai dai, talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jay, talaaq do adil(jo zahiran gunah-gar nah hon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jay, zarori hay k mard talaq apnay ikhtiar se dai aur agar osay apni biwi ko talaq denay par majboor kia jae to talaq batil hay, Mard talaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho, layhaaza agar wo maslan mazaq ya nashay ya gussay ki halat main talaq day tu talaq sahi nahi hogi. Aur jab talaq hi nahi hui hai is ka matlab hai k aap os ki biwi hain apnay shohar k ghar chali jain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-72) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.