Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Salam Sir! meri age 27 years hy, me ny apni life mein bht sary gunnah kiye hain, us waqat shyd me smjh nahe saki mgr ab mujhy ehsas ho gaya hy, me roz Allah sy maafi mangti hon aur sab galat kaam chor b diye hain mgr fir b mery dil ko sakon nahe mil raha , jaisy ab b kahin kuch galat hy....shariyat k aitbaar sy kya kerna chahea mujhy? 
Answer Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.