Answer |
Quran Majeed ki surah noor surah # 24 ki ayat # 60 mai zaeef auratoo k parday ka zikr hai. Zaeef aurat jab ghar sai niklay to na mehram k samnay apnay zahiri libas ko utar sakti hain laikin shart ye hai k is ka maqsad zeenat ki numaish na ho is lie k in auraton k zaeef honay k ba-wajood bhi dunya mai bad-nafs aur holnak insano ki kami nahi hai. (Ref : Anwar e Quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 749)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |