Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question A.a maine pochna tha k main aik mazoor admi hun aur mjhse aik ladki bht Pyar krti ha aur phr humne court marriage krlia ha ladki k ghar wale Mjhe accept nh kr rahe ladki ko bht mara hai unhn ne aur ladki kehti ha K main talaq nh lun ge ab kya kren main bht pareshan hn aj 15 din hogae Hm shadi k bad 3 din sath rahe uske ghar walo ne kaha k hm ladki ki rukhsati Krdain g leikin ab ladki ko keh rahe ha k talaq lo mjhse mera sirf itna kasoor Ha k main mazoor hn bs 
Answer Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.