Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question aoa, 22 weeks ka baby agr abortion ho jaye tu os ka jnaza jayez hai? aur kb jayez hoga agr paeda ho kr sans lay ? ya sans na lay tb b jnaza lazim hai.  
Answer 1)Agar aik bacha maa k pait mai 4 mahinay ya is sai ziada ka ho kar sakit ho jae to osay ghusl dena zaroori hai bal k agar 4 mahinay sai kam ka ho laikin is ka pura badn ban chukka ho to ehtiyat e wajib ki bina par is ko ghusl dena zaroori hai. in 2 suraton k alawa ehtiyat ki bina par osay kapray mai lapait kar bagair ghusl diay dafan kar dena chaheay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 547) 2)Namaz e janaza os waqt wajib hoti hai jab bacha puray 6 saal ka ho chukka ho (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 583)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.