Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name syed ali seestani sb. 
Question salaam, agha agar mene kisi virgin ladhki se mutah bina uske ma baap ki permission k kar lia h or mujhe 1 saal ho gaya hai to kya ye mutah sahi hai agar nahi to mujhe kya karna hoga or ab m us ladhki se nikah karna chahta hu to kya nikah m bhi us k baap ki ijazat leni hogi. 
Answer 1)Ye muta sahi nahi tha or batil tha, or nikah k sahi hone k liay aisi kunwari lerki k liay jo apnay kamo main khud mukhtaar nah ho wali yani baap ya dada ki ijazat (permission) lena zaruri hoti hai or agar khud mukhtaar nah bhi ho tab bhi ehtiyaat e wajib ki bina per wali ki ijazat zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341 , 2342). 2) Lerki se agar jima kia gaya ho tu os ko chahiay k wo os se juda ho jaey or 3 haiz iddat rakhe or is k baad os lerke se wali ki ijazat se nikah ker sakti hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #567 , Eidition 1427 hij). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.