Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question Assalamualaikum Janab mai chahata hu k muze sirf or sirf allah se muhabbat ho jaye..rarika bataye  
Answer Wssalam o alykum, Allah Taala Quraan e Majeed main farmaata hai ke ager tum Allah se muhabbat karte ho to meri (yani hamare Nabi e Paak s.a.w) ittibaa karo (ager meri ittiba karo ge to) Allah tum se muhabbat kare ga or tuhmare guhnaao ko muaaf kar de ga. (sura e Aal e Imraan , ayat no # 31) Or Hadees e Saqlain main Ap (s.a.w) ne farmaaya (ye hadees musalmanoo ke nazdeek un ahadees main se hai jo yaqeni tor per Ap (s.a.w) se sadir hoi hain) ke main tuhmare dermiyaan do giraan qader cheezain (Quraan e Majeed or Ehl e Bait yani Ali ibn e Abo talib or in ke do farzand Hasan o Husain or Husain ki nasal main se 9 afraad) chore jar aha hon, jab tak in se mutamassik raho ga (yani apna deen in se hasil karte raho ge) to hargiz mare baad gumraah nahi ho ge. (Ref : Ali(a.s) khalifah e Rasool (s.w.a) , topic # hadees e saqlain , pg # 138). Pas jo insan Allah Taala se haqiqi mohabbat karna chahta hai or ye bhi cahta hai ke Allah Taala us se muhabbat kare to us ko apna deen Ehl e Bait a.s se lena chahiye, or is natije ke sahi hone per Hazrat umar ka mashhoor qool dalalat karta hai ke ap ne farmaya ke ager ali na hote to umar halaaq hojata or khabi farmaya ke eh Allah! Muje ese mushkil masale ke liye zinda na rakh jis ke hal karne ke liye Ali mojood na hon khabi farmaya ke ham main sab se bara qazi Ali hai.(Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 1 , topic # Ali ke mutaalliq sahaba ke etiraaf , pg #82 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.