Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani saheb 
Question salam o alaikum janab mera sawal hai kya aurat apni sharmgah ke baal razor ya trimmer se saaf kar sakti hai isme koi harj to nahi hai aur hatho aur pairo ke baal ,eyebrow wagairah banwa sakti hai ,dusra sawal yeh hai ki kya oral sex karne se bhi aurat mujnib ho jati hai , lakin yeh kaise maloom hoga ki kab aurat oral sex se mujnib huyee meherbani karke in sawalo ke jawab de diye kudahafiz ! 
Answer 1)Aurat apni sharamgah k baaloo ko iron yani lohay wagira ki blade sai kaat sakti hai.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from dated 15-07-2010) 2)Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aae hay k zair e naaf baal ko 40 din se ziyada katne ko terk nah kia jay, or aurat 20 din se ziyada zair e naaf baal kaatne ko terk nah karay. Or rahi baat baghal k baal ki tu riwayaat e kaseera main in baalo ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid k hokum diya gaya hay or agar aurat ye baal shohar k liay bivi se lazzat or faida hasil kerne ki raah mian nafrat ka sabab banain tu aurat k liay in baalo ka kaatna wajib hay.(Re: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/). Note: zair e naaf baal or baghal k baalo k kaatne ki takeed e mustahab aae hay laikin dubur(anus) k baal ki takeed e mustahab nahi aae.. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 3)Shohar or biwi oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Albetta is sai aurat mujnib nahi hoti hai laikin agar oral sex karnay sai wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.