Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalamoalaikum, Mera Sawal ye hai ke. 2011 Dec shadi ke aik month baad main saudia aa gaya or meri biwi apney parents k ghar chali gai ghar ki problems se tang aa ke mainey meri biwi ko aik court stamp paper pe divorce sign ker k bhej di or halake mainey meri biwi se phone pe bhi baat tak nahi ki thee, to kia meri talaq ho chuki hai ya koi hal hai wapsi raju ka.?  
Answer Ye talaq sahi nahi hai q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi nah ki jae to talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.