Answer |
Namaz k doran jis waqt bhi kisi ko 3 rakat aur 4 rakat k darmian mai shak ho zaroori hai k ye samajh lai k 4 rakatain parhi hain aur namaz ko tamam karay aur baad mai aik rakat namaz e ehtiyat kharay ho kar ya 2 rakat beth kar parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1186)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |