Answer |
Namaz ki har rakat mai ruku k baad 2 sajday wajib hotay hain aur ye aur os ka tareeqa ye hai. sajda ye hai k khas shakl mai peshani ko khozu ki niyat sai zameen par rakhay aur namaz k sajday ki halat mai wajib hai k donoo hathalian , dono ghutnay aur donoo poun k aunghatay zameen par rakhay jain. Aur mustahab hai k namazi naak ko sajdagah ya kisi aisi cheez par rakhay jis par sajda karna durust ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1032-78)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Mazeed tafseelat k lie tauzeeh ki janib ruju karain. |