Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aqa sistani 
Question mera sawal ye hai mein nei ramzan ka qaza roza rakhney ki niat se sehri ki or azan se 15 minutes pehley ghusl e janabat kerney k liye chali gae. jab ghusl ker chuki or time check kia to 3 minutes azaan se ooper ho chuke the , kia mera roza batil ho gaya. 
Answer ager ap fajar tak jaan booj ke janabat ki halat main rehe ho (masalan gusal pehle kar sakti thi magar nahi ki ya pata tha ke 15 minute main gusal nahi kar pain gi phir bhi tayammum ki jaga gusal karne main mushgool ho gai) to ap is din roza nahi rakh sakti, Or ager jaan booj kar na ho (masalan ap ko pata tha ke fajar main 15 minute hain or ap in main gusal se farig ho gaain gi) to is din ka roza rakh sakti hain or roza sahi hai, agerche ke ehtiyaat ye hai ke is din roza na rakhain.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1592 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.