Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mera ye sawal hai ki meri ammi or meri do choti bahan tino milkar meri wifi ko bhut presaan kar rahi hai usaki saat gali gloch karte hai or galat iljaam lagate rahte hai, jara jara si bato par jidbazi karte rahte hai ushe ghar se nikalna chate hai isiliye usse ladte rahte hai ,jabki mere abba ji sahi hai par ammi or bahne unke kaan barti rahti hai ab mujhe kya karna chaye kyonki ek taraf maa baap hai or ek taraf lachaar biwi, agar main biwi ke saath kahda hu or maa baap ki bato ka virodh karo to kya maii gunah mai samil hunga aap mera ye jawab jald dene ki kosish bhi kuch neerne le saku  
Answer 1)Sas bahoo k ikhtilafat ki wajah sai betay k lie zaroori hai k wo apnay qoul o fail k zarie maa sai be-adabi sai ijtenab karay aur deehmay lehjay mai os ko samjae. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 348 pg # 213) 2)Agar kisi khandan me kisi wajh se na it’te’faqi paida ho gay ho to Apas me ittefaq paida karnay k lie har namaz k bad rozana 11 martaba surah e infal ayat # 63 (wa al’la’fa baina. . . . . . . .. . hakeem)ko parhay. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 366) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.