Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question asalamualekum sir meri umer 19 and meri ammi ki 40 hai me india se hun sir kabhi kabhi mere ya fir meri maa ke kapdu ya sarir per apne ap khon ke dag a jayte hen or hame pakka bisbas hai ki ye apne ap athe jesa ki kapde alvari me ya fir tange hue hai or jab me unhe phane ke liya udati hun to unme kahin khain ek do kon ke dag lage hote hai or me y bhi bta du ki kbahi mere per ke talbe me or kbhi hat per bina kisi cot ke or ik bat sir 19 sall hone ke bad bhi mera period sahi nahi hai 25-30 din tak kbhi kbahi rahti hun maine bhot sri e test kave liye hai fir bhi sub normal ata hai kuch batye . jaldi thank you allah hafiz 
Answer Wssalam o alykum, sura e inshiqaaq ko likh kar makaan ki diwaar per latka dain to INSHALLAH ALLAH TAALA ap ko or apki walida ko apne hasar main rakhkhai ga.(Ref : tajalliyaat e Quraan , pg #129). Period(haiz) ki muddat kam se kam 3 din or ziyada se ziyada 10 din hai, ager orat 10 din ke baad koon dekhe to us ke liye zarori hai ke istihaza wali orat ke ehkaam per amal kare, kun ke ye 10 din baad wala koon koon e haiz nahi hai balke koon e istihaza hai, - or wasail u shia main hai, jis ka mafhoom ye hai ke ager orat koon e istihaza se nijaat chahti hai to us ko istihaza ke ehkaam per amal karna chahiye - Koon e istihaza ke ehkaam : pehle orat tehqeeq kare ke wo qalelah hai ya mutawassitah ya kaseerah hai. Pas ager koon sirf roi ( jis ko orat apni sharam gaah per rakhti hai) ke uper wale hisse ko aaloda kare or ander saraiyat na kare to ye koon istihaaza e qalela hai or orat ke liye wajib hai ke her namaaz ke liye alehda wazoo kare, or ager namaaz se pehle sharam gaah ke zahiri hisse per koon laga ho to us ko paak karna wajib hai.Or ager roi ke ander tak saraiyat kar jaae lekin us karpre tak na ponhche jo orat koon ko rokne ke liye roi ke uper rakhti hai to ye koon koon e istihaza e mutawassita hai, or ehtiyaat e lazim ki bin per zarori hai ke her din namazoo ke liye 1 gusal kare or her namaaz ke liye wazoo kare or namaaz se pehle jisam per koon lagee hone ki sorat main us ko paak kare.Or ager koon roi se tajawuz kar ke us kapre tak ponhach jaae to ye koon istihazaa e kaseera kehlata hai, or ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hai ke her namaaz ke leye roi or kapra dhoe ya tabdeel kare or ager zuhar o asar or magrib o isha ko ik sath phar rahi ho to fajar ke liye 1 gusal or zuhar o asar ke liye 1 gusal, or magrib o isha ke liye 1 gusal kare, or ager alag alag phar raha ho to panchoon (5) namazoo main se har ik ke liye alag alag gusal kare, or gusal ke baad namaaz ke liye wazoo ki zarorat nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 390 to 394 , 438 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.