Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Agah Sistani 
Question Asallam O Alikum!Janab Mene pehle bhi msg kia ab Dosri bar msg karraha hn,plz Gusal ka Pora tarika yani ke hat3bar aur bazu3bar koli nak m pani pher sar pe pani dalna niat kar ke,kia ye tarika thek hy,pher right n life sade pani se dholein,aur janab m jahan hn wahan sunnion ki masjed hy m Aakela hon sajde gah ke bager Namaz hogi,please m Ap ke javab ka muntazer hn. 
Answer Wazoo ka tareeqa ye hai: wazoo mai wajib hai kniyat k baad chehra aur donoo hath dhoain jae aur sar k aglay hissay aur donoo poun k samnay walay hissay ka masah kia jae. Chehray ko lambai mai peshani k upper is jigah sai lai kar jahan sar k baal ugtay hain thori k aakhri kinaray tak dhona zaroori hai aur chorai mai bech ki ungli aur anghutay k phelao mai jitni jigah aa jae osay dhona zaroori hai. chehra dhonay k baad pehlay right hath aur phir left hath ko kohni sai lai kar ungli k siroo tak dhona zaroori hai. Donoo hath dhonay k baad sar k aglay hissay ka masah wazoo k pani ki os tari sai krna chahea jo hathoo ko lagi reh gae ho aur ehtiyat e mustahabb ye hai k masah dain(right) hathili sai kia jae aur upper sai nichay ki taraf ho.Sar k 4 hisso mai sai peshani sai mila hua aik hissa wo maqam hai jahan masah karna chahea. Ye zaroori nahi hai k sar ka masa jild par kiya jaay balke sar k agle hisso k baalo per karna bhi sahi hai laikin agar kise k sar k baal itne lambay hon k maslan agar kangha kare to baal chehray par aa jain, ya dosere hissay tak ja pouche to zaroore hai k wo balo ki jaro par masah kare. Sar ka masah karnay k baad Donoo pair k samnay walay hissay ka masa karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259)Note : Mazeed tafseelat k lie doosray sawaloo ko bhi parhain is k alawa mujtahid ki kitab tauzeehul masail ka bhi mutalla karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.