Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question A.O.A ! sir jee mera sawal ye hai k islam ki nazar ma sood kehty kisy hain! kya aus pesy ko sood kehty hain jo begair mehnat k kamaya jaie! aur bank ma invest kie hoy paiso ka profit laina sood kehlata ha ya haram! aur mujhay sood waly kam aur jin kamno ko haram kehty hain wo knsy hty hain example b di ga plz!  
Answer 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Update on dated 03-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.