Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aaqa sistani sahab 
Question salam alkum janab mai qurbani ke mashail ke bare me janna chahta ho jaisa ki isme likha hai haj ke alava doosri jagah qurbani karna mustahbe muqedda hai aur mustahb qurbani me us janvar ki qurbani ho sakti hai na millne par jo ki kana singh toota hua ya khasi kiya hua mera sawal ya hai ki india me jahan ham log hai waha pe pe gaye (cow) ki qurbani de nahi sakte qki hindu muslim danga ho jayega unt (cammel) hai nahi aur khasi (goat) 2 saal ka nahi milta aur mai aap se ye baat poochna chahta ho ki kahan likha hai ki qurbani ke liye khasi (goat) ki age 2 saal se kam na ho jabki log kahte hai ki 1 saal se kam na ho hamne to nahi dekha lekin log kahte hai ki tohfatul aawam me yahi baat likhi hui hai ki khasi 1saal se kam na ho  
Answer Mustahab qurbani k janwar mai wo shrait lazim nhi hain jo hajj ki wajib qurbani mai lazim hain, lehaza kana, langra, kaan kta, seeng toota, khassi aur dublay janwar ki qurbani jaiz hai agar chah afzal o ahwat ye hai k salim aur mota ho. (Ref : ayatollah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=3555)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.