Answer |
Aurat aur os k wali(baap/dada) k lie behtar hai k larkay mai on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka sohar main hona zarori hay. aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo dendar, pak daman, or ba-akhlaq ho. sharabi na ho or burai or muhliq gunaho ka irtekab na karta ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 387 pg # 232 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |