Answer |
Khums ki date ko change karnay k lie aap ya to apni purani date ko khums nikal dain phir jab sai aap ko koi amdani hasil ho gi wo aap ki new date ho jae gi ya aap koi khas date fix karna chahtay hain to aap os din apna sara hisab kar lain aur khums nikal dain to wo aap ki khums ki new date fix ho jae gi. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 84, pg # 52)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |