Answer |
Namaz e janaza mai zaroori hai k namaz parhnay wala mayyat sai door na ho. Yani gayabana namaz e janaza nahi ho sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 583-97) Note : agar taqiyya ki wajah sai sunni ki aisi namaz e janaza mai shareek hona paray to shareek ho saktay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |