Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name info@qoitrat.org 
Question ma ne or mere bf ne ek software pe group chahting ma 2 logon ki majodgi ma hauq mehar k sath ek dosre ko nikah ki niyat se qabol kiya tha tu kya hum ma nikah ho gya ha ?//plz mjhe mere is swal ka jwab den jaldi meri es email id pe bht meharbani 
Answer 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341) 2)Nikah me shart ha k (makhsoos) alfaaz k zaria eijaab aur qabool kiya jaay. aur koi bhi amal eijaab k qaim maqaam nahi ban sakta. (lehaza alfaaaz ada karna zaroori hai) (ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 245 masla #439) 3)Ehtiyat e wajib ki bina per nikah(nikah k alfaaz) arabi me perhai jaay agar khud mard aur aurat arabi mai na perh sakte ho to arabi k ilawa kisi aur zabaan me nikah per sakte hai. Maslan phele mahar moiiyan karne k baad aurat kahay me ne is mahar per jo moiiyan ho chuka hai apne app ko tumhari biwi banaya is k lmhe bher baad mard kehe me ne is shadi ko qabool kiya to nikah sahe hai.aurat agar pele se shadi shuda na ho (yani pele shohar se is k intercourse na hoa ho) to is ki shadi me baab ya dada ki ijazat zarooori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2335,2333,2341) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.