Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name nil 
Question mera question ye ha k mjhain sahai ourat ki namz ka tariqa bata dain mane "Asan namz" kitab se sikha ha but mjhain log khatae ha k ghalt ha wo book plz ap mjhy wazeha tor se namz ka tariqa bata dain hoskae tu tasveer se bata dain .shukarya  
Answer Namaz k tareeqay k lie aap kisi bhi islamic book store sai Ayatullah Sistani ki Tauzeehul masail ko khareed lain os mai aap ko namaz ka mukammal tareeqa mil jae ga magar hum yaha par ikhtisar k sath namaz ka tareeqa bayan kartay hain. Namaz k wajibaat 11 hain: 1) niyat 2) takbeeratul Ehraam yani namaz ki ibteda me Allaaho akbar kehna 3) Qiyaam 4) Qaraa,at 5)zikr 6) ruku 7) sojood 8) tashahud 9) salaam 10) tarteeb 11) mawalaat yani namaz k af,aal pay dar pay baja laana(one by one). (Ref:Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # Before 929) Namaz ki terkeeb: Namaz k tamaam af,aal aur azkaar ko zail me terteeb waar bataya gaya hay . jis zikr k agay (+) ka nishaan laga hay wo sunat(mustahab) hay yani agar in ko na perha jaay tu bhi namaz sahi hay . 2 rakati namaz ka tariqa : Pehli rak,at : jis namaz k perhne ka irada kiya ho is k liay qibla rukh ho kar itmenaan se kharhay ho kar takbeeratul ehraam yani Allaaho akbar khain. khiyaal rahe k niyat k tour per koe alfaaz zabaan se ada karna ya dil se guzaarna zarori nahi hain. sirf zehan mutawajjah rahe k khuda ka hukum bajalane ki gharz se yani qurbatan ilal-laah ye amal baja laa raha hoon yehi asli niyat hay. Albattah agar zabaan se yu kahain tu bhi koe haraj nahi. “Namaz perhta/perhti hoon subah ki 2 rak,at qurbatan ilal laah.” Takbeeratul Ehraam k baad sorah e fatiha aur dosera aik sorah (maslan innaa anzalnaaho) perhain.sorah mukammmal ker k takbeer kahain(+) aur phir ruku me jain. Ruku me zikr e ruku ada karain. Is k baad kharhay ho kar samial laaho liman hamidah(+) aur takbeer (+) ada ker k sajde me jain aur sajde ka zikr ada karain. pehle sadje k baad baith ker takbeer(+) istighfaar(+) aur takbeer ada kerain aur phir dosra sajdah baja laain. Is k baad baithain aur takbeer(+) khain aur phir agli rak,at k liay kharhay hoon. kharhay hote hoay zikr bihaulil laahi wa qoowatihee aqoomo wa aqod(+) perhain. Tash,reh(Explanation about ruku & sajdah): (i)Ruku me zarori hay k is qadar jhokay k apni tamaam ongliyo ko angothay k siray k saath guthne per rakh sakain. (ii)sajde ki halat me wajib hai k 7 aaza(part of body) zameen par rakhain. 1) peshani 2,3) donoo hatailiyaan 4,5) donoo guthnay aur 6,7) donoo poun(legs) k anghotay. Dosri rak,at: Dosri rak,at me sorah e fatiha aur dosra aik sorah (maslan sorah e ikhlaas) perhain. Dosri rak,at me ruku me jaane se pehlay qonoot perhna mustahab hay.Qonoot me haatho ko monh k saamne asmaan ki taraf rakh ker dua perhi jati hay.Qonoot k baad pehli rak,at ki maanind ruku aur dono sajde baja laain .Dosre sajde se sar otha kar baithne aur takbeer(+) perhne k baad tashahud perhain.Or aakhir main “salam” perh ker namaz mukammal karain.or aakhri salam k baad 3 baar takbeer perhna mustahab hay. 3 Rakati namaz(maghrib) ka tariqa : Oper di hoe terkeeb k mutabiq 2 rakat tamaam ker k tashahud perhain or phir teesri rak,at k liay kharhay ho ker aik dafa “tasbihaat e arba,ah” perhain(behter hay keh 3 baar perhain).os k baad pichli rakato k manind ruku or phir 2 sajday bja lain or phir baith ker tashahud or salaam perh ker namaz mukammal karain. 4 Rakati namaz(zuhar,asr or isha) ka tariqa : Pehli 3 raka,at oper di hoe terkeeb k mutabiq baja lain. Teesri rak,at k 2 sajdo k baad chothi rak,at k liay kharhay hoon.chothi rak,at main halat qiyaam main aik dafa “tasbihaat e arba,ah” perhain(behter hay keh 3 baar perhain).os k baad pichli rakato k manind ruku or phir 2 sajday ada karain or phir baith ker tashahud or salaam perh ker namaz mukammal karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Ehkaam e Islam,part#1,Nashir Najafi Haal o Najafi Cassette Library, pg #78-80). 2) Tamam wajib or mustahab namazo me dusri rak,at me ruku se pehle qunoot mustahab he.(Ref: Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1104). Namaz ki ibratain(Wording of namaz): (i)Takbeer: اللہ اکبر (Allaaho Akber) (ii) Ruku ka zikr: سبحان اللہ ، سبحان اللہ ، سبحان اللہ (Subhaanal laahi, Subhaanal laahi, Subhaanal laahi) or سبحان ربی العظیم و بحمدہ (Subhaana rabi,yal azeemi wa bihamdihi) (iii) Dorood: اللھم صل علی محمد وآل محمد (Allaahumma salli alaa Muhammadin wa aalay Muhammad) (iv) Ruku se kharhay hone k baad ka zikr: سمع اللہ لمن حمدہ (Sami,allaaho liman hamidah) (v) Sijday ka zikr: سبحان اللہ ، سبحان اللہ ، سبحان اللہ (Subhaanal laahi, Subhaanal laahi, Subhaanal laahi) or سبحان ربی الاعلی و بحمدہ (Subhaana rabi,yal aa,laa wa bihamdihi) (vi) Istaghfaar: استغفر اللہ ربی و اتوب الیہ (Astaghfirul laaha rabbee wa atoobo ilaihi) (Vii)بحول اللہ و قوتہ اقوم و اقعد (Bihaw lillaahi wa qoowatihee aqoomo wa aq,od) (viii) Qunoot: رب زدنی علما (Rabbi zidnee ilmaa) (ix) Tashahud: اللھم صل علی محمد وآل محمد اشہد ان لا الہ الا اللہ وحدہ لا شریک لہ و اشھد ان محمدا عبدہ و رسولہ (Ashhado allaa ilaaha illal laaho wahdahoo laa shareeka lahoo wa ash,hadu anna muhammadan abduhoo wa rasooloh Allaahumma salli alaa Muhammadin wa aalay Muhammad) (x) Tasbeehaat e arba,ah: سبحان اللہ والحمد للہ ولا الہ الا اللہ و اللہ اکبر (Subhaanal Laahi wal hamdo lillaahi wa laa ilaaha illal laaho wallaho akber) (xi) Salaam: السلام علیک ایھا النبی و رحمۃ اللہ و برکاتہ، السلام علینا و علی عباد اللہ الصلحین، السلام علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ (Assalaamo alaika ay,uhan nabeeyo wa rahmatul laahi wa bara kaatuhoo, assalaamo alainaa wa alaa ibaadil laa his saliheen, assalaamo alaikum wa rahmatul laahi wa bara kaatuhoo.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.