Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name hanfi devband 
Question assalam walekum mera sawal hai ki juma ki namaz kahan hosakti hai namaz hone ke liye keya keya hona chahiye mere gaon me namaz shuru huwa hai per kuch logon ko etraz hai ki abhi yahan namaz nahi ho sakta hai aap ko bata den ki hum logon ne ek mufti saheb se masla puchha tha to unhon ne kaha ki namaz ho sakti hai aur hamare gaon ki aabadi taqreeban 4500 hai jis me muslim 2000 hain town se laga huwa hai hamara gaon  
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)Imam a.s. ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din aap ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz parhain. aur Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain:1:Waqt ka dhakil hona, 2:Namaz parhnay waloo ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hoon, 3: Imam ka jamia shrait imamat hona. Is k alawa jumay ki namaz subah ki terah 2 rakat hai is mai aur subah ki namaz mai faraq ye hai k jumay ki namaz sai pehlay 2 khutbay bhi hain. Aur jumay ki namaz mai pehli rakat mai ruku sai pehlay aik qunoot hai aur doosri rakat mai ruku k bad qunoot parhay aur phir sajday mai jain. Is k alawa Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain: 1:Ba-jamat namaz parhna, 2:Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna, 3:Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 722, 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.