Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Slaam, sir sawal ye hai k ghusel janabat ka sai tareeka kya hai man and women k liye? 
Answer Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. aur behtr ye hai k badan ko pehlay right side sai aur baad mai left side sai dhoya jae. 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.