Answer |
Agar tawaf k doran hadas sadir ho jae to is ki chand suratain hai. 1: Hadas chotay chakar k puray honay sai pehlay hua ho to is surat mai tawaf batil ho gaur taharat k baad is ko dubara karna ho ga. 2:Hadas chotay chakkar k mukammal honay k baad hua ho aur bagair ikhtiar k hua ho to is surat mai apnay tawaf ko rokay aur taharat kar k phir jahan sai chora thaw aha sai idama dai kar pura karay. 3: Hadas chotay chakkar k baad hua ho laikin is k ikhtiar sai ho to ahwat ye hai k is surat mai taharat kar k tawaf ko jahan sai chora thaw aha sai idama dai kar pura karay aur phir dubara bhi karay. (Ref : Manasik e Hajj masla # 285)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |