Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalaamoalaikum. Ji mera ye sawal hai ki meri shadi ko 2 saal hogaye hai aur main apni biwi se jismani talluqat qayam nhi kar paya ho. Kya ye shadi jayaz hai. Kya bina jismanhi talluqat qayam kiye hue shadi jayaz nhi hoti. Plz is sawal ka jawab zarur dijiyega. Ma is bat ko lekar bahut paresham ho. Badi meharbani hogi. ALLAHHAFIZ 
Answer Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi karsakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2382). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.