Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question me ek larke ko pasand karti hu aur os se shadi karna chahti hu larka or os k gar wale razi hai meri ami razi hai aur abu kabi hah tu kabi na me hai q k hamare yaha kandan me shadi hoti hai aur wo larka hamare kandan ka nahi hai na cast ka lekin islam me muslin hona lazmi hai kandan aur cast zarori nahi meri taraf masla karne wale mamo aur dada hai meharbani kar k koi aesa wazefa batahe k mere saree ghar wale razi ho aur sub ki razamandi aur kushi se meri shadi os larke se ho bhut bhut meherbani ho gi me bhut pareshan hu 
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2341) 2)Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.