Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name muslim 
Question salam mera 2 problem han.. plz app bata han k main kai karn. 1.. mera bacha 3 mnth ka hai.. or woh doohd piny per bohat rota hai.. bohat zid karta hai app mjha koi dua bata han k main us pay dam kara k parn.. 2.. mera husband ko job nai mili rahi hai hum sub bohat problem main b han bata han k kai masala hai.. humari shadi main b bohat nazaran thik. or mera dilvery ka time pay b bohat problem howi... plz koi hal bata han..  
Answer 1)Agar surah ghashiya surah # 88 bachay par parhi jae to won a daray ga aur na roae ga. (Ref : Payam e Shifa pg # 288) 2)Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chand martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.