Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatollah sistani 
Question Ma na apni bhanji jis ka walid ki death jab meri behan 7 mah ki hamla thi Or meri behan bachi ki pedaish ka 3 ghantay bad bachi ko meray hawalay kar ka intaqal kar gai ma na bachi ko apna feed karwaya ab woh bachi 16 year ki ho gai ha usa pata ha ka hum us ka waldain nahi hai. Jab birth certificate bana to us na apni marzi sa apna razai baap ka nam likhwaya. pochna yeh ha NIKAH kay waqt kis baap ka nam sa NIKAH ho ga, mehrbani farma kar is ka jawab anayt farma dain shukriya  
Answer 1-Adopted(Goad liay hoa) bachay main is baat ka khiyaal rakha jay k shajra e nasab tabdeel nah kia jaay. 2- Nikah k seghay perhne main lerki k baap ka naam lena zarori nahi. (Ref: Mafhoom E-mail Recv from A.Sistani(d.b), 24-12-2010+Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, Mafhoom e maslah #2333-2335) . Update on dated 04-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.