Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Janab Ali Saistani 
Question sir, mera sawal ye hay ka mjhay ek larka zaberdasti dosti karnay pa majboor karta tha ka main us sa miloon.agar nhn milty thy to bht tang karta tha,akhir kar main us se dosti pa razi hu gae aur us ka khnay pa muttah kar lia jis ki muddat thy ka jab tak meri kahen aur shadi nhn hu jaty laikin mjhay theak se yad nhn ka mjhay idea tha ya nhn tha ka baap ki ijazat zaroori hay kanwari larki ka liye but main ne baap ki ijazat ka bghair mutta kar lia laikin main syed larki hun agar ijazat laity bhy to nhn milni thy,bad main 2 saal ka bad meri mangni kahen aur hu gae to main ne us larkay sa kaha ka proper muutah kar laitay hain jis main muddat ek month ki rakhtay hain.wu razi hu gaya.ham donun ne ek month ki muddat rakh li aur dobara seghay urdu main likhay aur aijab aur qabool ki jaghah us page pa sign kar liye aur jab seghay likhay to muddat jiss ki ham ne ek month limit rakhi thy wu mention nhn ki seghoon main laikin mjhay yad partta hay laikin theak sa sure nhn hay ka ham ne haq mahar nhn likha aur na hi muayyan kia.us larkay ne kaha ka wu ye page pa apnay 2 friends ka sign karwa ka lata hay.ek month ka bad we left eachother and after 6 months i got married to another boy and now sincere with my husband and v happy mashallah but main bht confuse hun ka kia mera pahla aur dosra mutta same boy sa jaiz tha ka nhn kion ka main ne donun bari baap ki permission nhn li thy kion ka ham syed hain aur out of syed shadi nhn kartay 
Answer Kawari larki apnay baap ya dada ki ijazat k bagair nikah chahay mutaa ho ya daimi wo os waqt tak sahi nahi hota hai jab kawari larki apnay baap ya dada ki ijazat na ho. Aur is k alawa aur bhi sharait hai jin ki pabindi karni chaheay nikah Arabic zaban mai parhna zaroori hi aur likhna ehtiyat ki bina kafi nai hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 133)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.