Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Kya larki k khandaan waalon ki khilaaf warzi k bawajood, jb k larkay k khandaan waalon ki razamandi shamil hai, (larka ehl-e-tashi aur larki ehl-e-sunnat k firqeh se hai) nikah jaiz hoga?? larka aur larki dono raazi hain aur shadi k baad apnay apnay firqeh ko jaari rakhna chahtay hain.. gumraahi ka shuba nahi hai..  
Answer Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.