Answer |
Rajab aur shaban k puray mahinay mai rozay rakhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1718) aur 27 rajab ka roza to un 4 dino mai sai hai jin mai roza rakhnay ki khas shan hai jaisa k is din ka roza 70,000 saal k rozoo ka sawab rakhta hai. (Ref : Mafatihul jinan pg # 305)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |