Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name gdshgsyewy 
Question jnab agr kisi bandy ka masana kamzoor ho yani usay uthty baithtay pisab/urine/ karaj hota aur jab namaz parhay tab b sajday jaty huway koi aik do qatra gair jaye to kya wo naha k dobara kapray pahn k aur wazu kr k namaz parhay ya us k liye koi aur hukam hai......baray mahrbani is ka jwab jaldi aur tafseel say dijiye ga.JazakAllah  
Answer 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) Wazifa : Surah e zumar surah #39 ki ayat 67 likh kr apni qamar par bandh lain aur zafraan sy likh kr pi lain tou qatra qatra pishaab ki bemari khtam hojaegi.(ref:book nawaey saleheen pg#329)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.